Blog ·
Printed card ya digital invite? Seedha hisaab
Hum digital invites banate hain, magar ye post imaandari se likhi hai. Printed card ki apni jagah hai. Faisla aap ka, bas hisaab saaf hona chahiye.
Kharcha: guests ke saath barhta hai ya nahi?
Printed card ka kharcha har card ke saath barhta hai: jitne zyada mehmaan, utne zyada card, utni zyada delivery. Digital invite ki ek price hai, chahe 30 log hon ya 300.
Delivery: driver, petrol aur weekend
Printed cards ghar ghar pohanchane mein hafte lag jaate hain, aur kisi na kisi ke ghar reh hi jata hai. Digital invite ek minute mein sab tak pohanch jata hai, bahar mulk wale rishtedaron tak bhi.
Ghalti ho jaye toh?
Card chhap gaya aur tareekh ghalat nikli? Dobara chhapwana parta hai. Digital invite mein hum details theek kar dete hain aur link wohi rehta hai.
RSVP: kaun aa raha hai?
Printed card ke saath headcount ke liye phone pe phone karne parte hain. Digital invite pe mehmaan khud jawab dete hain, aur aap ko poori list total ke saath mil jaati hai.
Printed card kab behtar hai?
Jab aap ko kuch yaadgar haath mein chahiye, ya kuch buzurg rishtedaar sirf card hi pasand karte hain. Is ka seedha hal: unke liye chand printed cards, aur baqi sab ke liye digital link.
Hamari raaye? Dono ko mila lein. Digital invite sab ke liye, printed card sirf unke liye jinke liye woh sach mein ahem hai. Kharcha bhi bachega, aur kisi ka dil bhi nahi tootega.